|
|
Add to: | Music Director(s): Siddhartth Suhas, Agnee Lyricist(s): Raam Goutam, Prashant Pandey, Siddharth, Suhas, Kumaar Hindi Lyrics khushanuma, aawaara sa, besabab, bechaara sa lamha tha jindagi ke aasmaan mein tuta sa woh taara tha, tanha tha keh rahein hai zarrein dekho, raaston se gujra tha yahaan dhundatein hai usako lekin gaayab hai pairon ke nishaan lamha yeh jaayega kahaan - 2 lamha kahaan yeh kho gaya, ik pal mein tanha ho gaya aaye jo mausam naye, manjar badal jaayenge shaakhon se patte gire, girake kidhar jaayenge keh rahein hai zarrein dekho, raaston se gujra tha yahaan dhundatein hai usako lekin gaayab hai pairon ke nishaan (lamha yeh jaayega kahaan - 2 lamha kahaan yeh kho gaya, ik pal mein tanha ho gaya) - 2 shabnam ka katra hai yeh, sholein bujha jaayega kar jaayega aankhein nam yaadon mein bas jaayega baarisho ki bundein barase, baadalon ke dil halke huye jaane pehchaane chehron ke aks bhi kyun dhundalein huye (lamha yeh jaayega kahaan - 2 tanha yeh jaayega kahaan - 2) - 16 have viewed this page! |
||||