Dillagi - 1949 - Jalim Jamana Mujhko Tumse Chhuda Raha Hai
Singer(s): Shyam, Suraiya

jalim jamana mujhko tumse chhuda raha hai
ai jalim jamana mujhko tumse chhuda raha hai
anjam jindagee ka -2 najdik aa raha hai
jalim jamana mujhko tumse chhuda raha hai

bite dino ke nagme dil aaj ga raha hai
duniya me jaise apnee -2 koyee bula raha hai
bite dino ke nagme dil aaj ga raha hai

tujhko kasam hai aakar (surat jara dikha ja -2)
divana dekh tera duniya se ja raha hai

barabadiyo ka apnee (shikawa nahee kisee se -2)
mera nasib mujhko yeh din dikha raha hai
ai bite dino ke nagme dil aaj ga raha hai

/print/Dillagi-1949-/502943-Jalim-Jamana-Mujhko-Tumse-Chhuda-Raha-Hai.html